Pahad Ke Woh Gali
Select a passage to comment on it
Na pooch mujhse kya hai Pahad ki un galiyon mein?
Kaun rehta hai mera wahan?
Koi na rehta hai wahan? Yehi toh baat hai.
Koi na rehta hai wahan, yehi toh sukoon hai.
Sab kuchh chhod chhad kar,
Pahad ki us gali mein basna chahti hoon,
Jahan sirf main, mere khwab aur azadi hain.
Hai meri chaukhat us raah,
Jahan Raza-e-Elaahi zindagi mein jeeti hoon.
Jahan main zindagi se ladh nahi rahi hoon,
Sirf khul ke jee rahi hoon.
Ghumsum hoon main wahan par,
Par sukoon ka ehsaas milta hai wahan.
Na pooch mujhse kahan hain yeh Pahad aur woh gali?
Na main, na mera wajood jaante hain,
Siwaay mere ilah ke.
Raaton ki neend qurbaan ho jaati hai,
Pahad ki un galiyon ke intezaar mein.
Kaun jaane, is zaleel duniya mein
Kabhi mil jayenge, ya phir
Akhirat ka intezaar karna hai.